Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi..
Parveen Shakir
Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi,
Aur bikhar jaaon to mujh ko na samaitte koi,
Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main,
Mere chehre pe tera naam na parrh le koi,
Jis tarah khawb mere ho gaye raiza raiza,
Uss tarah se na kabhi toot ke bikhre koi,
Main to uss din se hiraasaan hoon ke jab hukm mile,
Khushk phoolon ko kitaabon me na rakhe koi,
Ab to iss raah se woh shakss guzarta bhi nahi,
Ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi,
Koii aahatt koi awaz koi chaap nahin,
Dil ki galiyaan barri sunsaan hain aaye koi.